Agar aap blogger ya fir kisi site ke owner hai to ye post aapko pura jarur padhna chahiye kyonki hacker hum hi logo ko target banante hai kyonki hum logo ke paas well reputed website hoti hai jinhe har koi hack karna chahta hai aur hack karne ke liye keylogger se achha kya tarika hoga unke paas.Maine pehle hi kafi sare security tips and tricks aap logo ko provide karayi hai jaise whatsapp security tricks , facebook security tricks , Android security tricks .Aaj kal ye keylogger bahut badi samasya ban chuke hai ,aisa koi nhi hoga jo in keyloggers se darta na ho,unhe har pal ye mehsoos hota rehta hoga ki kanhi kisi ne unke system me koi keylogger to install nhi kar diya hai,ye jyadatar un liye jyada khatrnaak saavit hota hai jo bloggers hai ya fir koi company ka work karte hai jisme achhi khasi details hoti hai.baise main iska pura detail me post kar chuka hoon jisme maine aapko bataya tha ki keylogger se computer hack kaise karte hai.

Ek baar keylogger ko kisi ne aapke desktop me install kar diya to aap puri tarah se hack ho jate hai aur aapki sari information us hacker ke paas send hone lagti hai jisne us keylogger ko design kiya hoga.


Ab maan lo koi ek bahut achha blogger ho aur uske paas ek bahut hi well reputed website/blog ho to jaruri nhi hai ki us bloger ko hacking ke baare me pata ho ,ho sakta wo bilkul bhi na janta ho in keylogers ke baare me ,agar janta bhi hoga to ye nhi janta hoga ki usko remove kaise kare. Aaj kal ke bloggers kya karte hai koi achha antivirus install kar lenge apne pc me aur sochne lagte hai ki wo to ab safe hai,lekin nhi mere pyare dosto aisa bilkul nhi hai ,aap hack ho sakte ho koi bhi antivirus aapko nhi bacha payega.

Actual me kya hota hai jo humare antivirus hote hai unhe sirf maujooda haalat ke chalte design kiya jata hai,iska matlab hai unme wahi mechanism use ki jati hai jo keylogger me use ki jati hai isi wajah se humare antivirus un keylogger ko pakad lete hai aur delete kar dete hai,lekin jara sochiye dosto kisi ne koi new design ka keylogger design karke aapke computer me install karwa diya to isse kya hoga ki us keylogger ka jo code hoga wo to apke antivirus ko pata nhi hoga na kyonki humare antivirus to sirf 2 ya 3 mechanism par work karte hai ho sakta hai hacker ne kisi dusri mechanism ka prayog  kiya ho keylogger ko banane me jo use bilkul undetectable bana deta ho kisi bhi antivirus ko bypass karne ke liye.  



Kuchh log kehte hai ki keylogger ko pakadna bahut asan hota hai wo log kya solution batate hai ki simply windows drive me jakar program files me jakar txt likhkar search karo to keylogger aa jayega pakad me,Lekin mere dosto mera visbas maniye aisa kuchh bhi nhi hota hai hacker badi hi aasani se us txt file ko delete kar dete hai online aane se pehle.To ye tarika kafi bhi kaam nhi karta hai ek achhe keylogger ko find out karne ke liye.

Maan lo aapke system me koi achha coded keyloger kisi ne install kar diya aur aapko pata bhi naa chala ho to ab to aapke samne samasya aa jayegi kyonki keyloger ka kaam hota hai aapke computer ke sabhi passwords (key stroke) ko chura kar hacker ke paas send karna .Ek achhe keylogger ko pakad kar delete karna bahut mushkil hota hai kyonki hacker use puri tarah se undetectable bana deta hai .To aap soch rahe honge ki is tarah to aap keylogger ko pakad hi nhi payenge.

Nhi dosto main aaj aapko ek aisa tarika bataunga jisse aap kisi bhi keyloger ko asani se pakad sakenge ab chahe hacker ne usko puri tarah se undetectable bhi bana diya ho tab bhi .

Aapko bata du keyloger ko banate samay aur usko install karne ke baad uska keyloger ka state lable aur PID ka use karna hota hai jisse kisi bhi kimat par chhupaya nhi ja sakta hai,hum bas yahi tarika use karenge kyonki isi tarike ko hacker bypaas nhi kar sakta hai.

To chale jante hai kis tarah akhir hum apne system se keyloger ko unsintall kar payenge.


Step By Step Tarika Keyloger Ko Apne PC Se Remove Karne Ka

Aap neeche diye gaye steps follow kariye kisi bhi keylogger ko detect karne ke liye,iske liye aaapko thodi bahut technical knowledge ki jarurat padegi ,aur main maan kar chal raha hoon ki aapko wo techincal gyan hoga because you are a blogger.

Step:1) sabse pehle ane computer par command promt (cmd) open kariye,Iske baad jo command neeche likha hai wo likhiye aur enter kijiye.

netstat -ano
Note: (netstat aur - ke beech me ek space hai dhyan rakhna.)

Step:2)  Jaise hi aap ye command daal kar enter ki button press karenge to dekhenge ki aapke samne bahut si detai show hone lagegi ,is detail me aapko 5 columns milenge.Aur hume sirf last ke 2 columns ki jarurat hai dekhne ki jo main upar bata chuka hai PID aur stat leble bale columns.

Step:3) Ab ap kya kariye un sabhi ki PID note karlo kanhi par jinka state establized hai.

Step:4) Ab aapko kya karna hai in sabhi pid ko ek ek karke check karna hai ,iske liye aapko task manager open karna hoga ,agar aap windows ka prayog kar rahe hai to windows + x ki button dabaiye aur task manager par jayiye (yaa fir search kar lijiye task manager)

Step:5)  Ab jab task manager open ho jaye simply detail bali tab me jayiye aur wanha par wo sabhi PID check kariye ,Yanha par aap dekhenge ki sabhi PID ke samne uski exe file hogi isse aap andaja laga sakte hai ki wo exe file safe hai ya nhi ,agar aapko koi anjan PID lage to uski exe ke naam ko google me jakar search kar sakte hai.


Bas dosto yahi tha wo simple aur always working method jiska prayog karke aap keylogger ko detect kar sakte hai,yanha par maine koi software ka use nhi kiya hai pura kaam manually hi kiya hai isiliye iski working percentage 99% tak hai.


Agar aapko koi step samjh na aa raha ho to aap mujhse puchh sakte hai comment karke ,mujhe khusi hogi aapki help karne me.Agar aapko mera ye security  post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek security tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
Previous Post Next Post